Banta at Class room


Banta class mein - madam maine "abc" yaad karli..

Madam -ok , to sunao..

Banta - abcdefghijklemnopqrstuvwxyz…..

Madam - arey aise nahi ….aise suna A for apple

Banta - ok madam….

A for apple.

B for bada apple.

C for chhota apple.

D for dusra apple.

E for ek aur apple.

F for fokat ka apple.

G for gol apple.

H for hazar apple

I for itney saarey apple?

J for jaao nahi khaani hai apple

K for kaise nahi khaayengey apple

L for lena padhega tumko apple

M for mujhe nahi chahiye itne apple

N for naa nahi kehtey kyunkey yeh hai apple

O for Oh to tumne khaa daale yeh saare apple

P for peth bhar khaao apple

Q for qismat mein nahi hoti hai sabke, yeh apple

R for roz agar khaao tum apple

S for sehetmand rahoge khaaogey agar tum apple

T for tumko nahi milengey itney achey apple

U for udhaar kii nahi hai yeh apple

V for very tasty hai yeh apple

W for waste na karo time aur khaalo jaldi se apple

X for X'mas mei bhii Hi! khana padenge apple

Y for yun na chehra phero dekhkey apple

Z for zaraasa aur khaalo apple aur………..

Comments

Popular Posts