Hamare Padosi


Pata nahi kya baat hai humme jo hamare padosi aise mile jo na hume jaan paye na hi hum unhe.

Har naye padosi ka humne kiya hardik abhinandan,
lekin badle me hume mila mansik krandan.

Pratyek mitrata roopi pasa palat gaya,
aur shatruta ka naag fann gaya.

Humne har prakar naye saathiyon ko apnana chaha,
par jyadatar nirmohiyon ne dhakka hi maara.

Jab jab flat khali hua humne soch badli,
ab nahi bolenge kabhi, ye dharna rakh li.

Par wah re hamari sahan shakti ke kya kahne,
naye logon ke aate hi hum chale unse milne.

Ye kya, phir nirasha ne ki hamari swagat,
apna sa muh latkaye hum phir ghar ko aaye.

Ab phir se hai flat khali, par dil me phir hai umang,
abki baar shayad mile hume padosi jinke ho naye dhang.


Comments

Popular Posts